Terms of Use
Last updated: 27 November 2026
TrainStatus.co.in ka istemal karke aap in sharton se sehmat hote hain.
1. Free service
Ye website free hai — live train status, PNR status aur station board bina login ke dekh sakte hain. Service kabhi bhi band ya badli ja sakti hai.
2. Data indicative hai
Live data Indian Railways (NTES/IRCTC) se IRCTC Developer API ke through aata hai. Hum data ko sahi rakhne ki koshish karte hain, lekin iski 100% accuracy ki guarantee nahi dete. Train ke chhootne, deri ya platform badalne se hone wale kisi nuksan ki zimmedari TrainStatus.co.in ya Service Mitra ki nahi hai. Safar se pehle status official sources — railway enquiry (139), NTES, IRCTC — se confirm kar lein.
3. Official website nahi hai
TrainStatus.co.in Indian Railways, IRCTC ya Bharat Sarkar ki official website nahi hai aur unse affiliated nahi hai. Hum ticket booking, cancellation ya refund nahi karte.
4. Fair use
Site ka istemal sirf personal, non-commercial tareeke se karein. Automated scraping, bulk requests ya site ko overload karne ki koshish mana hai. Aise istemal par access roka ja sakta hai.
5. Content aur links
Site par dikhaye gaye ads aur third-party links (jaise Google Maps, WhatsApp) unki apni policies ke under hain. Train ke naam, number aur schedule Indian Railways ke public data par based hain.
6. Liability
Service "as is" basis par di jati hai — bina kisi warranty ke. Kisi bhi paristhiti mein TrainStatus.co.in ya Service Mitra, data ki galti, service ke rukne ya kisi bhi nuksan ke liye zimmedar nahi honge.
7. Changes
Ye shartein waqt ke saath update ho sakti hain. Nayi shartein is page par publish hote hi lagu ho jayengi.
Saawaal hon to Contact page dekhein.